Farrukh's profileRizvi's TownPhotosBlogListsMore Tools Help

Blog


    9/18/2006

    aarzoo

                                                    aarzoo

    mujhay muajzoN pe yaqeeN nahi mager aarzoo hai k jab qaza
    mujhay bazm-e-dehr se le chalay
    to phir aik baar ye izn de
    k lehed se uth k aa sakooN
    teray der pe aa k sada karooN
    tujhay gham-gusaar ki ho talab to teray huzoor mein aa rahoon
    ye na ho to soo-e-rah-e-adum, main phir aik baar rawana hoon
                                                              
    - Faiz Ahmad Faiz -
                                                             (ser-e-waadi-e-seena,
                                                             Nuskha haay-e-wafa)

    9/4/2006

    allah-us-samad

                            allah-us-samad

    wo kehti hai tum achhay palmisT nahi ho
    tum ne jitnay daaway kiye thay, sab jhooTay thay
    tum ne kaha tha
    ham dono k saad sitaaray, chaand k gher mein gher ker lein gay
    ham tum dono hijr himala ser ker lein gay
    lekin qurb-e-dawaam na aaya
    dukh aaye, araam na aaya
    us ne tanzan ye bhi kaha hai
    tum ne jis ustaad se zaayecha-sazi seekhi
    shayed al-beruni bhi shagird tha uska

    us jazbati lerki ko ye kon bataaye
    aisee bhi ek zaat hai jo in raykhaaoN ko
    jab chaahay aur jaisay chaahay ker deti hai
    ek daaman angaaroN se
    aur
    ek khsuhyoN se bher deti hai
                                       
    - Perveen Shakir -

    9/3/2006

    tum ager mujh ko na chaho to koi baat nahi !

                            mushkil hogi

    tum ager mujh ko na chaho to koi baat nahi
    tum kisi aur ko chaho gi to mushkil hogi

    ab ager mail nahi hai to judayi bhi nahi
    baat tori bhi nahi tum ne banayi bhi nahi
    ye sahara bhi buhat hai meray jeenay k liye
    tum ager meri nahi ho to parayi bhi nahi
    meray dil ko na saraho to koi baat nahi
    ghair k dil ko saraho gi to mushkil hogi

    tum haseeN ho, tumhein sab pyar hi kertay hongay
    main jo merta huun to kya aur bhi mertay hongay ?
    sab ki aankhon mein esi shoq ka toofaaN hoga ?
    sab k seenay mein yahi derd ubhertay hongay ?
    meray ghum mein na karaho to koi baat nahi
    aur k ghum mein karaho gi to mushkil hogi

    phool ki tarah haNso, sab ki nigahoN mein raho
    apni maasoom jawani ki panahoN mein raho
    mujh ko wo din na dikhana tumhein apni hi qasam
    main tarasta rahoon, tum ghair ki baaNhoN mein raho
    tum jo mujh se na nibaho to koi baat nahi
    kisi dushman se nibaho gi to mushkil hogi

    tum ager mujh ko na chaho to koi baat nahi
    tum kisi aur ko chaho gi to mushkil hogi ..
                                                   
    - Sahir Ludhianvi -

    zaybindah

                            zaybindah beTi  k liye aik nazm

    bees baras ki baat hai lekin yuuN lagta hai
    jaisay kal ki baat ho, jab wo
    nannhay nannhay haath beRha ker mujh ko chhooti, mairee jaanib
    aati thi to
    us k laboN per aik sitara khilta tha,
    mairee rooh ki saari khushbu aur sach-chaai
    us k lams mein jaag uThti thi
    allah ... ! kaisay achhay din thay !!

                ab main uski pyaari pyaari
                 phooloN jaisee zaybindah ko chhoota hoon to
                yuuN lagta hai
                jaisay sab kuchh loT aaya ho
                jaisay us ne mairee khaatir
                apna bachpan duhraya ho !

    mola ... jaisay tu ne mairee arzi suni aur
    apnay jaari faiz se mairay man ko shaant rakha
    mujh per aur ek rehmat ferma
    zaybindah ko uski maaN ki khushbu de ker
    Aqib aur Rosheen ki dunya
                pehlay se bhi roshan ker de
    is taaza masoom haNsi se
                un k saaray gher ko bher de !!
                                                   
    - Amjad Islam Amjad -


    gulaab k phool

             misaal-e-chehra-e-paighumbaraaN gulaab k phool

    ravish ravish pe hein nik_hat-fishaaN gulaab k phool
    haseeN gulaab k phool, arghawaaN gulaab k phool

    ufuq ufuq pe zamaanoN ki dhund se ubhray
    tuyoor, naghmay, nadi, titliyaaN, gulaab k phool

    kis enhimaak se baiThee kasheed kerti hai
    uroos-e-gul ba-qabaa-e-jahaaN gulaab k phool

    jahaan-e-girya-e-shabnam se kis ghuroor k saath
    guzer rahay hein tabassum-kunaaN gulaab k phool

    ye maira daaman-e-sad-chaak, ye rida-e-bahaar
    yahaaN sharaab k chheeNTay wahaaN gulaab k phool

    kisi ka phool sa chehra aur us pe rung-e-afroz
    gundhay hoay beh kham-e-gaysuaaN gulaab k phool

    khayaal-e-yaar teray silsilay, nashoN ki rutein
    jamaal-e-yaar teri jhalkiyaaN gulaab k phool

    meri nigaah mein daur-e-zamaaN ki her kerwaT
    lahoo ki lehr, diloN ka dhuwaaN gulaab k phool

    ye kia tilism hai, ye kis ki yaasmeeN baaNhein
    chhiRak gayi hein jahaaN der jahaaN gulaab k phool

    sulagtay jaatay hein chup chaap haNstay jaatay hein
    misaal-e-chehra-e-paighumbaraaN gulaab k phool

    kaTi hai umr bahaaroN k sog mein Amjad
    meri lehed pe khilein jaavedaaN gulaab k phool
                                                               
    - Majeed Amjad -

    khooN-baha

                                   khooN-baha

    apnay sheh-sawaroN ko
    qatl kernay waaloN se
    khooN-baha talab kerna
    waarisoN pe waajib tha
    qaatiloN pe waajib tha
    khooN-baha ada kerna
    waajibaat ki takmeel
    munsifoN pe waajib thi
    (munsifoN ki nigraani
    qudsiyoN pe waajib thi)
    waqt ki adaalat mein
    aik samt masnad thi
    aik samt khanjer tha
    taaj-e-zer-nigaar ek samt, ek taraf thi majboori
    ek taraf muqadder tha
    taayefay pukaar uTThay
    "taaj-o-takht zinda-baad !
    saaz-o-rakht zinda-baad !"

    khalq ham se kehti hai, sara maajra likkhein
    kis ne kis tarah paya apna khooN-baha likkhein
    chashm-e-nam se sherminda,
    ham qalam se sherminda, sochtay hein kia likkhein
                                                          
    - Iftekhar Arif -


    ye haseeN khayt ...

                                        mozoo-e-sukhan

    gul hui jaati hai afsurda sulagti hui shaam
    dhul k niklay gi abhi chashma-e-mahtaab se raat
    aur mushtaaq nigaahoN ki suni jaaye gi
    aur un haathoN se mas hongay ye tersay hoay haat

    unka aaNchal hai, k rukhsaar, k pairahan hai
    kuchh to hai jis se hui jaati hai chilman rangeeN
    jaanay us zulf ki mohoom ghani chhaaoN mein
    TimTamaata hai wo aawezah abhi tak k nahi

    aaj phir husn-e-dil-aara ki wohi dhaj hogi
    wohi khwabeedah si aaNkhein, wohi kaajal ki lakeer
    rung-e-rukhsaar pe halka sa wo ghaazay ka ghubaar
    sandali haath pe dhuNdli si hina ki tehreer

    apnay afkaar ki, ashaar ki dunya hai yahi
    jaan-e-mazmooN hai yahi, shahid-e-maana hai yahi

    aaj tak surkh-o-syah sadyoN k saaye k talay
    aadam-o-hawwa ki aulaad pe kia guzri hai ?
    mot aur zeest ki rozaana saf-aaraayi mein
    ham pe kia guzray gi, ajdaad pe kia guzri hai ?

    in damaktay hoay shehroN ki faraawaaN makhlooq
    kyooN faqat mernay ki hasrat mein jia kerti hai ?
    ye haseeN khayt phaTa peRta hai joban jinka
    kis liye in mein faqat bhook uga kerti hai

    ye her ek samt pur-asraar kaRi deewaarein
    jal bujhay jin mein hazaaroN ki jawaani k charaagh
    ye her ek gaam pe un khwaaboN ki maqtal-gaahein
    jinkay pertou se charaaghaaN hein hazaaroN k demaagh

    ye bhi hein, aisay kayee aur bhi mazmooN hongay
    lekin us shokh k aahista se khultay hoay hoNt
    haaye us jism k kambakht dil-aawez khutoot
    aap hi kehiye kaheeN aisay bhi afsooN hongay

    apna mozoo-e-sukhan in k siwa aur nahi
    tab-e-shaayer ka watan in k siwa aur nahi
                                                               
    - Faiz Ahmad Faiz -
                                                                  (naqsh-e-feryaadi,
                                                              Nuskha haay-e-wafa)



    aawezah = kaan ka zewer/ bundah
    ghaazah = ubtan/ powder/ make-up
    pertou = aks/ saaya/ roshni
    afsooN = jaadoo/ farayb/ afsaana

    tum ne bhi konsa chaha tha mujhay !

    tum ne bhi konsa chaha tha mujhay !

    tum ne bhi konsa chaha tha mujhay
    meri baatein bhi ghalat, meray eraaday bhi ghalat !
    bay-wafaayi ka ye khud-saakhta bohtaan bhi tasleem mujhay
    ye bhi mana k gham-e-deher jawaaN tha to gham-e-jaaN
                                                                   ko meri aankh k aaNsoo na milay
    jab zamanoN ki ye bay-meher havaein meri sochoN ko jala deti hein
                                                                           main sochta hoon
    jab gham-e-deher ki palkein teri jaanib meri shiddat ko ghata deti hein
                                                                           main sochta hoon
    jab kabhi apni jafaaein mujhay khud apni nigaahon mein gira deti hein
                                                                           main sochta hoon
                                                                tum ne bhi konsa chaha tha mujhay
                                                                                                               
    - Khalid Shareef -

    baarhwaaN khilaaRi

                            baarhwaaN khilari

    khush-gawar mosam mein
    un-ginat tamashaayie
    apni apni TeemoN ko
    daad denay aatay hein
    apnay apnay pyaroN ka
    hosla beRhaatay hein
    main alag thalag sab se
    baarhwein khilaRi ko
    hooT kerta rehta hoon
    baarhwaaN khilaRi bhi
    kia ajab khilaRi hai
    khayl hota rehta hai
    shor machta rehta hai
    daad peRti rehti hai
    aur wo alag sab se
    intezaar kerta hai
    aik aisee saa-at ka
    aik aisay lamhay ka
    jis mein saaneha ho jaaye
    phir wo khaylnay niklay
    taalyon k jhurmaT mein
    aik jumla-e-khush-kun
    aik naara-e-tehseen
    us k naam per ho jaaye
    sab khilaRyoN k saath
    wo bhi muatber ho jaaye
    per ye kam hi hota hai
    phir bhi log kehtay hein
    khayl se khilaRi ka
    umr bher ka rishta hai
    umr bher ka ye rishta
    chhooT bhi to sakta hai
    aakhri wisil k saath
    Doob jaanay wala dil
    TooT bhi to sakta hai
    tum bhi Iftekhar Arif
    baarhwein khilaRi ho
    intezaar kertay ho
    aik aisay lamhay ka
    aik aisee saa-at ka
    jis mein haadsa ho jaaye
    jis mein saaneha ho jaaye
    tum bhi Iftekhar Arif
    tum bhi Doob jaao gay
    tum bhi TooT jaao gay
                           
    - Iftekhar Arif -

    daairoN mein chaltay hein

                            ham log

    daairoN mein chaltay hein !
                 daairoN mein chalnay se
    daairay to beRhtay hein
                faaslay nahi ghaTtay

    aarzooein chalti hein !
                jis taraf ko jaatay hein
    manzileiN tamanna ki
                saath saath chalti hein !

    gerd uRti rehti hai
    derd beRhta jata hai
                raastay nahi ghaTtay !

    subh-dam sitaroN ki tez jhilmilahaT ko
    roshni ki aamad ka pesh-baab kehtay hein !
    ek kiran jo milti hai, aaftab kehtay hein !
    daaira badalnay ko, enqilaab kehtay hein !
                                                   
    - Amjad Islam Amjad -


    ab meray paas tum aayi ho to kia aayi ho

                                        aetraaf

    ab meray paas tum aayee ho to kia aayee ho

    main ne maana k tum ek paiker-e-ranaayee ho
    chaman-e-dehr mein rooh-e-chaman-aaraayee ho
    talat-e-mehr ho, firdaus ki bernaayee ho
    bint-e-mahtaab ho, gerdooN se uter aayee ho

    mujh se milnay mein ab andesha-e-ruswaayee hai
    main ne khud apnay kiye ki ye saza paayee hai

    khaak mein aah milaayee hai jawaani main ne
    shola-zaaroN mein jalaayee hai jawaani main ne
    shehr-e-khoobaaN mein gaNwaayee hai jawaani main ne
    khwaab-gaahoN mein gaNwaayee hai jawaani main ne

    husn ne jab bhi enaayat ki nazer daali hai
    meray paimaan-e-muhabbat ne siper daali hai

    un dinoN mujh pe qayaamat ka junooN taari tha
    ser pe sershaari-o-ishrat ka junooN taari tha
    maah-paaroN se muhabbat ka junooN taari tha
    sheheryaaroN se raqaabat ka junooN taari tha

    bister-e-makhmal-o-sanjaab thi dunya mayree
    aik rangeen-o-haseeN khwaab thi dunya mayree

    kia suno gi mayri majrooh jawaani ki pukaar
    meri feryaad-e-jiger-doz mayra naala-e-zaar
    shiddat-e-kerb mein doobi hui mayri guftaar
    main k khud apnay mazaaq-e-tarab-aageeN ka shikaar

    wo gudaaz-e-dil-e-merhoom kahaaN se laaooN
    ab main wo jazba-e-maasoom kahaaN se laaooN

    ab meray paas tum aayee ho to kia aayee ho
               
                - Majaaz Lakhnavi  (Asrar-ul-haq Majaaz) -