Farrukh's profileRizvi's TownPhotosBlogListsMore ![]() | Help |
|
4/21/2009 ishq
kabhi aawaara-o-bay-khaanmaaN ishq kabhi shaah-e-shahaaN NosherwaaN ishq kabhi maidaaN mein aata hai zirah-posh kabhi uryaaN-o-bay-taygh-o-sinaaN ishq
kabhi tanhaayi-e-koh-o-daman ishq kabhi soz-o-suroor-e-anjuman ishq kabhi sermaaya-e-mehraab-o-member kabhi mola Ali Khyber-shikan ishq
- Allama Iqbal –
(baal-e-jibreel,
kulliyaat-e-iqbal)
shaayed k uter jaaye teray dil mein meri baat
andaaz-e-bayaaN ger-che bahut shokh nahiN hai shaayed k uter jaaye teray dil mein meri baat
ya wusat-e-aflaak mein takbeer-e-musalsal ya khaak k aaghosh mein tasbeeh-o-manajaat
wo mazhab-e-merdaan-e-khud-aagaah-o-khuda-mast ye mazhab-e-mulla-o-jamadaat-o-nibataat - Allama Iqbal – (baal-e-jibreel, kulliyaat-e-iqbal) ishq-o-masti
jamaal-e-ishq-o-masti nai-nawaazi jalaal-e-ishq-o-masti bay-niaazi kamaal-e-ishq-o-masti zerf-e-Haider zawaal-e-ishq-o-masti herf-e-Razi - Allama Iqbal – (baal-e-jibreel, kulliyaat-e-iqbal) 4/12/2009 mataa-e-loh-o-qalam
mataa-e-loh-o-qalam chhin gaee to kia gham hai k khoon-e-dil mein dubo li hein unglyaaN main ne zubaaN pe muhr lagi hai to kia k rakh di hai her aik halqa-e-zanjeer mein zubaaN main ne - Faiz Ahmad Faiz - (dast-e-saba, nuskha-haay-e-wafa)
|
|
|